Infinix Note 60 Pro: Full Review 2026


Infinix Note 60 Pro Price in Pakistan.



Infinix Note 60 Pro - First Look and Price in Pakistan

Assalam-o-Alaikum dosto! Aaj kal mobile market mein sirf aik hi naam gunj raha hai aur wo hai Infinix Note 60 Pro. Infi

nix ne hamesha Pakistan mein saste aur powerfull phones diye hain, lekin is baar lagta hai unhon ne kuch zyada hi bada plan kar liya hai.

​Log abhi Infinix Note 40 Pro aur Note 50 Pro chala hi rahe thay ke ab Note 60 Pro ki leaks aana shuru ho gayi hain. Chalein dekhte hain ke is phone mein aisa kya khaas hai ke har banda iska intezar kar raha hai.

​
Note 60 Pro ke Zabardast Features (Expected):


Note 60 Pro ke Zabardast Features (Expected):

  • ​Processor: Is baar afwahen hain ke Infinix pehli baar Snapdragon 7s Gen 4 chip la raha hai. Agar ye sach hua, to PUBG aur Free Fire khelne walon ki to eid ho jayegi!
  • ​Battery: Is baar battery pehle se bhi badi hogi, taqreeban 6,500mAh. Yani aik baar charge karo aur do din ki chutti.
  • ​Charging: 90W fast charging ke saath ye phone minto mein full ho jayega.
  • ​Display: 144Hz refresh rate wala AMOLED display, jo chalne mein makkhan jaisa smooth hoga.

​Price aur Launch Date:

​Abhi tak Infinix ne pakki tareekh to nahi batayi, lekin lag raha hai ke ye 2026 ke darmiyan tak Pakistan mein aa jayega. Qeemat ke bare mein kaha ja raha hai ke ye Rs. 75,000 se Rs. 85,000 ke darmiyan ho sakti hai.

​Mera Mashwara:

​Agar aap naya mobile lene ka soch rahe hain aur aapka budget 80 hazaar ke qareeb hai, to thora sabr kar lein. Infinix Note 60 Pro waqai aik "Game Changer" sabit ho sakta hai.

​Dosto, aapko kya lagta hai? Kya Infinix is baar Samsung aur Redmi ko peeche chor dega? Comment mein zaroor batayein!


Free infinix note 60 pro gurantee,

Infinix Note 60 Pro Camera Setup (Expected)


Infinix Note 60 Pro Camera Setup (Expected)

​Infinix Note 60 Pro ka sabse bada highlight iska camera hone wala hai. Rumors ke mutabiq, is baar Infinix aik massive 200MP Main Sensor dene ja raha hai jo OIS (Optical Image Stabilization) ke saath aayega. Iska matlab hai ke ab aap hilti hui video ya low light mein bhi bilkul saaf aur crystal clear photos le saken ge.

  • ​Selfie Camera: 32MP ka front camera hoga jo vlogging aur selfies ke liye behtareen hai.
  • ​Video Recording: Isme 4K video recording ka option bhi milne ka imkan hai, jo is price range mein bohot kam phones mein milta hai.

​Design aur Build Quality

​Is phone ka design pehle se kaafi premium banaya gaya hai. Pichli side par Eco-Leather finish di gayi hai jo na sirf dekhne mein achhi lagti hai balkay haath mein pakadne mein bhi kaafi comfortable hai. Iska camera module thora unique hai jo ise dusre smartphone se alag banata hai.

​

Gaming aur Performance: PUBG Test

​Snapdragon 7s Gen 4 chip hone ki wajah se ye phone gaming ke liye aik beast sabit hoga.

  • ​Graphics: Isme aap 60 FPS se 90 FPS tak smoothly gaming kar saken ge.
  • ​Heating Issue: Company is baar aik naya "Liquid Cooling System" use kar rahi hai taake lambay arsay tak gaming karne par bhi phone garam na ho.

Gaming aur Performance: PUBG Test


Final Verdict: Kya ye lene ka faida hai?

​Agar aapko aik aisa phone chahiye jiski battery khatam na ho aur jo gaming mein bilkul na fase, to Infinix Note 60 Pro ka intezar karna bilkul sahi faisla hoga. Ye phone Infinix ki taraf se ab tak ka sabse bara upgrade hone wala hai.


  • For more details, you can read our complete guide on.
       ðŸ‘‡ðŸ‘‡ðŸ‘‡



Comments

Popular posts from this blog

How to Start a Profitable Blog in 2026

5 Best Online Earning Apps in Pakistan

Top 3 Best Online Earning Apps in 2026.