10th Class Computer Science Notes 2026

10th Class Computer Science Notes 2026


10th Class Computer Science New Course 2026: Paper Pattern aur Practical Marks ki Tafseel,


Dastaweez aur board ki hidayat ke mutabiq 2026 main 10th class computer sience ka paper naye pattern per banaya jaega,
Agar ap mardan board ke student hain ya all pakitan ke tu ye artical apke leye intehai ahem hain take app sahi semt me tayari kar saken,


Paper Pattern aur Numberon ki Taqseem

Computer Science ka kul paper 75 marks ka hota hai, jis mein theory aur practical dono shamil hain:

  • ​Theory (Tehreeri Imtihan): 50 Number
  • ​Practical (Amali Imtihan): 25 Number

​

Tehreeri Paper ke Hisse: 

​Hissa-e-Marooji (MCQs): Is hisse mein 12 sawalat hote hain. Har sahi jawab ka 1 number hota hai. Kitab ke har chapter se MCQs liye jate hain.

​Mukhtasir Sawalat (Short Questions): Kul 11 sawalat mein se 8 hal karne hote hain. Har sawal 3 marks ka hota hai.

Inshaiya Sawalat (Long Questions): Is mein 3 bade sawalat diye jate hain jin mein se 2 ka jawab dena hota hai. Ye hissa 14 marks ka hota hai.

​Practical Imtihan ki Tayari:

Practical mein 25 marks hasil karna asan hai agar aap programming ki basic samajhte hain. Is mein examiner aap se program banwayega aur zafani sawalat (Viva) puchega.

​Kamyabi ka Formula:

Zyadatar sawalat Programming aur Flowcharts wale chapters se liye ja rahe hain. In chapters ki bar-bar practice karein taake aap 75/75 marks hasil kar saken.

Computer Science New Syllabus Mein Kya Tabdeeli Ayi Hai?


Computer Science New Syllabus Mein Kya Tabdeeli Ayi Hai?

​Doston, jaisa ke aap sab ko pata hai ke har saal board kuch na kuch naya lata hai. Is baar 10th class computer science ke course mein practical knowledge par zyada zor diya gaya hai. Sirf ratta lagane se ab kaam nahi chalega, balki aapko "Logic Building" aur "Programming" ko samajhna hoga. Mardan board aur baki Punjab boards ne bhi ab conceptual study ko promote karna shuru kar diya hai.

​

Taiyari Kaise Karein? (Smart Study Tips)

​Agar aap chahte hain ke aapke 75/75 marks aayein, toh sirf book ko read karna kafi nahi hai.

  • ​Programs ki Practice: C++ aur Python ke jo chote chote programs hain, unko computer par chala kar dekhein.
  • ​Past Papers: Pichle saalon ke papers se idea lein ke examiners kis tarah ke sawal poochte hain.
  • ​Flowcharts: Programming se pehle flowchart banana seekhein, isse aapka dimagh khul jayega.


Chapter-Wise Important Topics for 2026

​Board exams mein kuch chapters aise hote hain jo "Hot Favorites" hote hain. Maslan:

  • ​Programming in C: Isme se long question lazmi aata hai.
  • ​Logic Gates: Ye marks lene ke liye sab se asaan aur aham chapter hai.
  • ​Data Types aur Operators: Inki basics clear honi chahiye kyunke MCQs yahin se bante hain.

​

Paper Solve Karne Ka Sahi Tarika

​Paper mein presentation bohot matter karti hai. Jab aap paper likh rahe hon, toh headings ke liye blue marker ka istamal karein. Short questions mein point-to-point baat karein aur koshish karein ke jahan zaroorat ho wahan diagram ya flowchart zaroor banayein. Isse examiner par acha impact parta hai aur marks milne ke chances barh jate hain.

​
Download PDF Notes (Coming Soon)

Download PDF Notes (Coming Soon)

​Hum jald hi aap doston ke liye 10th class computer science ke solved notes PDF format mein upload karenge. In notes mein asaan alfaz mein har topic ko samjhaya gaya hai taake aap ghar baithe achi taiyari kar sakein.


Computer Science Practical Mein Full Marks Kaise Lein?

​Bohat se students theory mein toh ache marks le lete hain lekin practical (25 marks) mein ghabra jate hain. Practical mein 100% marks lene ke liye aapko "Viva Voce" (oral sawalat) ki taiyari achi karni hogi. Examiner aksar basic programming terms poochta hai. Iske ilawa apni "Practical Notebook" bilkul saaf suthri aur mukammal rakhein, kyunke iske bhi free ke marks hote hain.

​

2026 Board Exams Ke Liye Model Papers Ki Ahmiyat

​Naya course hone ki wajah se market mein nayi model books aayengi. Meri aapko advice hai ke kam az kam 3 se 4 model papers khud solve karein. Isse aapko time management ka pata chalega. Computer ka paper aksar lamba lagta hai kyunke programming logic sochne mein waqt lag jata hai, isliye likhne ki practice lazmi karein.

​

Kya Computer Science Ek Mushkil Subject Hai?

​Aksar bachay puchte hain ke "Sir, kya computer science bohot sakht hai?" Dekhein ji, agar aap ratta marenge toh mushkil lagega, lekin agar aap programming ka concept samajh gaye toh ye poori book aapke liye ek game ki tarah ban jayegi. 2026 ke paper pattern mein conceptual sawalat zyada honge, isliye har topic ka "Kyun aur Kaise" (Why & How) zaroor samjhein.

Kya Computer Science Ek Mushkil Subject Hai?


"For English version, click here" 

      👇👇👇

10th Class Computer Science Notes 2026



Comments

Popular posts from this blog

How to Start a Profitable Blog in 2026

5 Best Online Earning Apps in Pakistan

Top 3 Best Online Earning Apps in 2026.